MULAIYZA HO

Started by Private User on Saturday, January 30, 2010
Problem with this page?

Participants:

  • Private User
    Geni member
Showing all 16 posts
Private User
1/30/2010 at 6:34 PM

"Har shaqs apne ko khuda samajtha haye,apne mukhalif raye gwara nahee useh,dusre kee apney se zyadah muhabbat bardasht nahee usey,
darata haye rizaq cheen loonga,bura haal kar doonga,
kahta haye maine yeh kiya maine woh kiya,aaoonga,jayoonga,yeh karoonga,woh karoonga,main uth gaya,maine tujpe yeh ahsan kia,maine tujpe woh ahsan kia,main tera yeh haal kar doonga,main tera woh haal kar doona,,mujh se zyada koi akalmand nahi,khuubsoorat nahi,khubsirat nahee,
koi kasar nahee choree isne apnee khudai kee dawedari sabit karne me, har shaqs apne ko khuda samajtha haye."

Private User
2/1/2010 at 7:28 PM

"Kaha mahkhane ka darwaza aur kaha wa-iz,
bus itna jan lijiye,woh jaata thah ke hum nikle"
( A verse in Mirza Ghalib ghazals sung by Jagjit Singh)
My translation of it in English, MULAIZA HO
"Poles apart is tavern's door and muezzin who from minaret Allah,Allah shout,
But I found he was entering it and I was coming out"

Private User
2/3/2010 at 6:34 PM

Track : Dil hee to hai
Album : Mirza Ghalib (1988)
Lyrics : Mirza Ghalib
Singer : Jagjit Singh
Music : Jagjit Singh

I have been through some rough patches recently.Sometime I feel like crying and why not? Mirza Ghalib seems to agree with that.

* * *

Dil hee to hai na sang-o-Khisht dard se bhar na aaye kyon ?
royenge ham hazaar baar, koee hamein sataaye kyon
Dair naheen, haram naheen, dar naheen, aastaan naheen
baithe hain rehguzar pe ham, ghair hamein uthaaye kyon ?

Haan wo naheen khuda-parast, jaao wo be-wafa sahee
jisko ho deen-o-dil azeez, uskee galee mein jaaye kyon ?

‘Ghalib’-e-khasta ke baghair kaun se kaam band hain ?
roiye zaar-zaar kya, keejiye haay-haay kyon ?

* * *

दिल ही तो है न संग-ओ-खिश्त दर्द से भर न आये क्यों ?
रोयेंगे हम हजार बार, कोइ हमें सताए क्यों ?

दैर नहीं, हरम नहीं, दर नहीं, आस्तां नहीं
बैठे हैं रहगुज़र पे हम, ग़ैर हमें उठाये क्यों ?

हाँ वो नहीं खुदा-परस्त, जाओ वो बे-वफ़ा सही
जिसको हो दीन-ओ-दिल अज़ीज़, उसकी गली में जाये क्यों ?

‘गालिब’-ए-खस्ता के बीगेर कौन से काम बंद हैं ?
रोइए झार-झार क्या, कीजिए हाय-हाय क्यों ?

***

Private User
2/5/2010 at 6:11 AM

Mirza Ghalib ki sher-o-shayari

Ye na thee hamaree qismat ke wisaal-e-yaar hota
it was not in my fate to meet my lover

agar aur jeete rehte yahee intezaar hota
had I lived longer, this would still be my only desire

2. Tere waade par jiye ham to ye jaan jhoot jaanaa
to live on your promise is to make my life a lie

ke khushee se mar na jaate agar ‘eitabaar hota
would I not have died of happiness if i trusted it

3. Teree naazukee se jaana ke bandha tha ‘ehed_booda
from your frailty I learnt that the promise was delicate

kabhee too na tor sakta agar oostuwaar hota
it would not stand broken had you been determined

4. koee mere dil se pooche tere teer-e-neemkash ko
someone ask me about your half-drawn arrow

ye khalish kahaan se hotee jo jigar ke paar hota
would i even feel this pain if it had pierced my heart

5. ye kahaan ki dostee hai ke bane hain dost naaseh
what kind of friendship is this, that friends are now advisers

koee chaarasaaz hota, koee ghamgusaar hota
someone should ease my pain, someone sympathize with me

6. rag-e-sang se tapakta wo lahoo ki phir na thamta
from every nerve drips blood without restraint

jise gham samajh rahe ho, ye agar sharaar hota
as if that which you think is anguish is but a spark

7. gham agarche jaan_gulis hai, per kahaan bachain ke dil hai
threatening as love is, there is no deliverance from the heart

gham-e-ishq gar na hota, gham-e-rozgaar hota
if not the torment of love, it would be the torment of life

8. kahoon kis se main ke kya hai, shab-e-gham buree bala hai
whom shall I narrate the pangs of these evenings of sorrow

mujhe kya bura tha marna agar ek baar hota
i would have not resented this death, had it come only once

9. hue mar ke ham jo ruswa, hue kyon na gharq-e-dariya
that I died and was disgraced, why was I not just drowned

na kabhee janaaza uthata, na kaheen mazaar hota
never was there a funeral, no where was a tomb erected

10. usay kaun dekh sakta ke yagaana hai wo yaktaa
who can see him since his Oneness is without peer

jo dooee ki boo bhee hotee to kaheen do chaar hota
even the scent of his duality would be an introduction

11. ye masaail-e-tasawwuf, ye tera bayaan ‘Ghalib’!
this mysticism, these statements of yours Ghalib

tujhe ham walee samajhate, jo na baada_khwaar hota
you would be a saint, if only you were not inebriated

Courtsey: Swati Pathak

Private User
2/5/2010 at 6:25 PM

Gazab kiyaa, tere vaade pe aitabaar kiyaa
DaaG Dehlvi

Gazab kiyaa, tere vaade pe aitabaar kiyaa
tamaam raat qayaamat kaa i.ntezaar kiyaa

[tamaam=whole]

ha.Nsaa ha.Nsaa ke shab-e-vasl ashk-baar kiyaa
tasalliyaa.N mujhe de-de ke beqaraar kiyaa

ham aise mahv-e-nazaaraa na the jo hosh aataa
magar tumhaare taGaaful ne hoshiyaar kiyaa

fasaana-e-shab-e-Gam un ko ek kahaanii thhii
kuchh aitabaar kiyaa aur kuchh naa-aitabaar kiyaa

ye kisane jalvaa hamaare sar-e-mazaar kiyaa
ki dil se shor uThaa, haa_e! beqaraar kiyaa

ta.Dap phir ai dil-e-naadaa.N, ki Gair kahate hai.n
aaKhir kuchh na banii, sabr iKhtiyaar kiyaa

[sabr=patience]

bhulaa bhulaa ke jataayaa hai unako raaz-e-nihaa.N
chhipaa chhipaa ke mohabbat ko aashakaar kiyaa

[raaz-e-nihaa.N=hidden secret; aashakaar=reveal]

tumhe.n to vaadaa-e-diidaar ham se karanaa thaa
ye kyaa kiyaa ke jahaa.N ko ummiidavaar kiyaa

ye dil ko taab kahaa.N hai ke ho maalandesh
u.nho.ne vaadaa kiyaa ham ne aitabaar kiyaa

na puuchh dil kii haqiiqat magar ye kahate hai.n
vo beqaraar rahe jisane beqaraar kiyaa

kuchh aage daavar-e-mahashar se hai ummiid mujhe
kuchh aap ne mere kahane kaa aitabaar kiyaa

[daavar-e-mahashar=the judge presiding on the day of judgement, i.e. God]

Private User
2/5/2010 at 6:40 PM

Tabish Dehlvi


beqaraarii sii beqaraarii hai

beqaraarii sii beqaraarii hai
din bhii bhaarii hai raat bhaarii hai

zindagii kii bisaat par aksar
jiitii baazii bhii ham ne haarii hai

[bisaat=game-board]

to.Do dil meraa shauq se to.Do
chiiz merii nahii.n tumhaarii hai

baar-e-hastii uThaa sakaa na ko_ii
ye Gam-e-dil jahaa.N se bhaarii hai

[baar=weight]

aa.Nkh se chhup ke dil me.n baiThe ho
haa_e kaisii ye pardaa-daarii hai

Private User
2/5/2010 at 6:48 PM

Jamiluddin Aali
Jamiluddin Aali hails from a literay family of Delhi where he was born on January 20, 1926. His grandfather, Nawab Allauddin Ahmed Khan was a friend and student of Ghalib. His father Sir Ameeruddin Ahem Khan was also a poet, and his mother belonged to a family of Mir Dard. Aali did B.A. and M.A. (Economics) from Delhi University. After partition of India, his family migrated to Pakistan and settled in Karachi. He joined Civil Services of Pakistan in 1951, later Aali also did F.E.L. and LL.B. in 1971 from Karachi University. In 1967, he joined National Bank, and served there till his retirement as senior vice president.


aali jii ab aap chalo tum apane bojh uThaaye

aali jii ab aap chalo tum apane bojh uThaaye
saath bhii de to aaKhir hamaare ko_ii kahaa.N tak jaaye

jis suuraj kii aas lagii hai shaayad vo bhii aaye
tum ye kaho Khud tum ne ab tak kitane diye jalaaye

apanaa kaam hai sirf mohabbat baaqii us kaa kaam
jab chaahe vo ruuThe ham se jab chaahe man jaaye

kyaa kyaa rog lage hai.n dil ko kyaa kyaa un ke bhed
ham sab ko samajhaane vaale kaun hame.n samajhaaye

ek isii ummiid pe hai.n sab dushman dost qabuul
kyaa jaane is saadaa-ravii me.n kaun kahaa.N mil jaaye

[saadaa-ravii = slow pace]

duniyaa vaale sab sachche par jiinaa hai us ko bhii
ek Gariib akelaa paapii kis kis se sharmaaye

itanaa bhii majabuur na karanaa varnaa ham kah de.nge
O "Aalii" pe ha.Nsane vaale tuu "Aali" ban jaaye

Private User
2/6/2010 at 7:16 PM

BAAT PAIDA KARTE HAIN HUM,BAAT KI ZINDAGANI KITNI KUM HOTI HAYE, ABHI HOTI HAYE ABHI ISEH MAUT AAJATI HAI,
KAHA JAATI HAI YEH,KAHA DAFAN HOTI HAYEY,
PANI KE BULBULE KI TARAH IS ZINDGI CHOTEE SI HOTI HAYEI,
PAIDAWAR ISKI KITNI BEHISAB HOTI HAYEI
AGAR ZINDGI ISKI AUR HOTEE TO BAAT HE BAAT HOTEE,
DOST KO DUSHMAN,DUSHMAN HO DOST YEHI BANATI HAYEI
SUNA HAYEI KHUDA KI ADALAT MEIN YEHI BATAIN,
JANNAT KA BAEES BANEGI,JAHANNUM MILNE KEE WAJAH HOGI
BAAT PAIDA KARTE HAYEI HAI,BAAT KI ZINDAGI KITNI KUM HOTI HAYEI,ABHI HOTI ABHI ISEH MAUT AA JAATI HEYEI,KAHA JAATI KAHA DAFAN HOTI HEYEI

Private User
2/8/2010 at 7:18 PM

Dile naadan tujhe hua kya hai?
Oh my naive heart, what has befallen you?
Aakhir is dard ki dawa kya hai?
After all, what is the remedy for this pain?

Hum hain mushtaaq aur woh beyzaar,
We are impatient, and he is disgusted
Ya-Ilaahi yeh maajra kya hai?
Oh ! God, what is the matter out here

main bhii muunh mein zabaan rakhataa huun
Even I have a tongue in my mouth
kaash puuchho ki muddaa kyaa hai ?
Would someone seek my opinion on the matter.

jab ki tujh bin nahi koi maujud
When there is no one besides you here(in this world)
phir ye hangama, ai Khuda kya hai?
Then Oh God! What is all this commotion?

ye pari chehra log kaise hain
What are these beautiful angelic faced people like?
gamaza-o-ishwa-o-ada kya hai?
What are all the airs and graces about?

shikan-e-zulf-e-ambari kyon hai
Why is this scented coiled curl created?(Hair?)
nigah-e-chashm-e-surma sa kya hai?
What is the meaning of the glance of the eyes lined with kohl?

sabza-o-gul kahan se aye hain
Where from have this beautiful flora and greenery originated?
abr kya chiz hai hawa kya hai?
What is this cloud and the wind?

Ham ko unse wafaa ki hai ummeed
I have hopes of faithfulness from her,
Jo nahi jaante wafa kya hai?
Who knows not what faithfulness is?

haan bhalaa kar teraa bhalaa hogaa
Yes, you do good deeds and good will happen to you,
aur darvesh kii sadaa kyaa hai ?
What else is the call of the mendicant?

jan tum par nisar karta hun
I would give my life for you
main nahi janta dua kya hai?
how to verbally offer prayer for you?

Maine mana ke kuch nahin "Ghalib"
I admit that it is nothing, "Ghalib"
Muft haath aaye to bura kya hai?
What is bad if it comes to hand gratis?

Translated: Ranjana

Mirza Ghalib, in his ghazal "Dil e nadaan" has spoken of love, justice, human values, mysticism etc., each in a different couplet. Couplets in a ghazal are like gems of a beautiful necklace the luster of which is timeless.

check on guyanafriends.com

Private User
2/16/2010 at 1:15 AM

Mirza Ghalib
1. dard minnat_kash-e-dawa na huaa
maiN na achchaa huaa, bura na huaa

[ minnat_kash-e-dawa = obliged to medicine ]

2. jama'a karate ho kyoN raqeeboN ka ?
ik tamaasha huaa gila na huaa

[ raqeeb = opponent, gila = complaint ]

3. ham kahaaN qismat aazmaane jaayaiN ?
too hee jab KHanjar aazma na huaa

4. kitne sheereeN haiN tere lab ! ki raqeeb
gaaliyaaN khaake be_maza na huaa

[ sheereeN = sweet ]

5. hai KHabar garm unke aane kee
aaj hee ghar meiN boriya na huaa !

[ boriya = mat, here it refers to groceries ]

6. kya woh namrood kee KHudaaee thee
bandagee meiN tera bhala na huaa

[ namrood = an old king who used to say that he was god ]

7. jaan dee, dee huee usee ki thee
haq to ye hai ke haq adaa na huaa

8. zaKHm gar dab gaya, lahoo na thama
kaam gar ruk gaya rawa na huaa

[ rawa = right/lawful ]

9. rahzanee hai ki dil_sitaanee hai ?
leke dil, dil_sitaaN rawa na huaa

[ dil_sitaaN = lover, rawa = agree/admissible ]

10. kuchch to paDhiye ki log kehte haiN
"aaj 'GHalib' GHazalsara na huaa"

Private User
2/20/2010 at 2:15 PM

Lyrics of Gulzar; Ballimaran is mentioned in this song of Hindi movie sung in movie having Amitabh,Aishwarya rai and Abhishek Bachan.

"Woh tujhse milna purani dilli mein
Chod aaye nishani Dilli mein
Balli Maraan se Daribe talak
Teri meri kahani Dilli mein
Kaali kamli wale ko yaad karke
Tere kale kale naino ki kasam khate hain
Tere kale kale naino ki balanye le loon
Tere kale kale naino ko duwaye de loon
Meri jaan udaas hain hothon pe pyaas hain
Aaja re aaja re aaja re

Ho teri baaton mein qimam ki khushbu hai
Ho tera aana bhi garmiyon ki lu hai
Ho meri angdai na tute tu aaja

Ho kajrare kajrare tere kare kare naina
Ho tere naina tere naina tere naina judwa tere naina
Ho tere naina tere naina tere nainon mein chupke rehna
Ho kajrare kajrare tere kare kare naina
Kare kare naina kajrare kajrare mere kare kare naina"

Private User
2/23/2010 at 8:11 PM

baaziichaa-e-atfaal hai duniyaa mere aage - Mirza Ghalib

baaziichaa-e-atfaal hai duniyaa mere aage
hotaa hai shab-o-roz tamaashaa mere aage

[baaziichaa-e-atfaal = child's play]

ik khel hai aurang-e-sulemaa.N mere nazadiik
ik baat hai ejaaz-e-masiihaa mere aage

[aurang = throne; ejaaz = miracle]

juz naam nahii.n suurat-e-aalam mujhe manzuur
juz vaham nahii.n hastii-e-ashiyaa mere aage

[juz = other than; aalam = world; ashiyaa = things]

hotaa hai nihaa.N gard me.n seharaa mere hote
ghisataa hai jabii.n Khaak pe dariyaa mere aage

[nihaa.N = hidden; gard = dust]
[seharaa = desert, jabii.n = forehead]

mat puuchh ke kyaa haal hai meraa tere piichhe
tuu dekh ke kyaa rang hai teraa mere aage

sach kahate ho Khud_biin-o-Khud_aaraa huu.N na kyo.N huu.N
baiThaa hai but-e-aa_iinaa siimaa mere aage

[Khud_biin = proud/arrogant, Khud_aaraa = self adorer]
[but-e-aa_iinaa = lover's mirror; siimaa = particularly]

phir dekhiye andaaz-e-gul_afshaanii-e-guftaar
rakh de ko_ii paimaanaa-e-sahabaa mere aage

[gul_afshaanii-e-guftaar = to scatter flowers while speaking]
[sahaba = wine]

nafrat ka gumaa.N guzare hai mai.n rashk se guzaraa
kyo.N kar kahuu.N lo naam naa us kaa mere aage

[gumaaN = suspicion/doubt; rashk = envy]

imaa.N mujhe roke hai jo khii.nche hai mujhe kufr
kaabaa mere piichhe hai kaliisaa mere aage

[kufr = impiety, kaliisaa = church/cathedral]

aashiq huu.N pe maashuuq_farebii hai mera kaam
majanuu.N ko buraa kahatii hai lailaa mere aage

Khush hote hai.n par vasl me.n yuu.N mar nahii.n jaate
aa_ii shab-e-hijaraa.N kii tamannaa mere aage

[hijr = separation]

hai mauj_zan ik qulzum-e-Khuu.N kaash! yahii ho
aataa hai abhii dekhiye kyaa-kyaa mere aage

[mauj_zan = turbulent (as in waves)]
[qulzum = sea, Khuu.N = blood]

go haath ko jumbish nahii.n aa.Nkho.n me.n to dam hai
rahane do abhii saaGar-o-miinaa mere aage

[jumbish = movement; saaGar-o-miinaa = glass of wine]

ham_peshaa-o-ham_masharab-o-ham_raaz hai meraa
'Ghalib' ko buraa kyo.N kaho achchhaa mere aage

[ham_peshaa = of the same profession]
[ham_masharab = of the same habits(i.e. a fellov drinker)]
[ham_raaz = confidante]

Private User
4/17/2010 at 3:36 AM

Bahadur Shah Zafar's Ghazal

baat karanii mujhe mushkil kabhii aisii to na thii

baat karanii mujhe mushkil kabhii aisii to na thii
jaisii ab hai terii mahafil kabhii aisii to na thii

le gayaa chhiin ke kaun aaj teraa sabr-o-qarar
beqaraarii tujhe ai dil kabhii aisii to na thii

chashm-e-qaatil merii dushman thii hameshaa lekin
jaise ab ho ga_ii qaatil kabhii aisii to na thii

un kii aa.Nkho.n ne Khudaa jaane kiyaa kyaa jaaduu
ke tabiiyat merii maa_il kabhii aisii to na thii

aks-e-ruKh-e-yaar ne kis se hai tujhe chamakaayaa
taab tujh me.n maah-e-kaamil kabhii aisii to na thii

kyaa sabab tuu jo biga.Dataa hai "Zafar" se har baar
Khuu terii huur-e-shamaa_il kabhii aisii to na thii

Private User
4/19/2010 at 5:15 AM

Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon
Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon
Na Kisi Ke Dil Ka Karar Hoon
Jo Kisi Ke Kaam Na Aa Sake
Main Woh Ek Musth-E-Gubaar Hoon
Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon

Mera Rang Roop Bigad Gaya
Mera Yaar Muhjse Bichad Gaya
Jo Chaman Fiza Mein Ujad Gaya
Main Usi Ki Faasle Bahar Hoon
Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon
Na Kisi Ke Dil Ka Karar Hoon

Main Kahan Rahoon Main Khahan Basu
Na Yeh Mujhse Khush Na Woh Mujhse Khush
Main Zamin Ki Peet Ka Boj Hoon
Main Falak Ke Dil Ka Gubaar Hoon
Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon

Pade Faatiha Koyi Aaye Kyon
Koyi Chaar Phool Chadaye Kyon
Koyi Aake Shama Jhalaye Kyon
Koyi Aake Shama Jhalaye Kyon
Main Woh Be-Kasi Ka Mazaar Hoon
Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon
Na Kisi Ke Dil Ka Karar Hoon
Jo Kisi Ke Kaam Na Aa Sake
Main Woh Ek Musth-E-Gubaar Hoon
Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon
-Bahadur Shah Zafar

Private User
6/3/2010 at 7:00 PM

maine logo ko bataya unka intekhal ho gaya,
aise hi kahenge log,mera intekhal ho gaya;
Nargis

Private User
6/3/2010 at 7:03 PM

I told the people he has died,
One day people will tell I have died;
Nargis

Showing all 16 posts

Create a free account or login to participate in this discussion